Total Pageviews

Saturday, December 17, 2011

ek shunya hoon main...


ek shunya hoon main
jiske ijaad se auro ko
arth praapt hota hain
swayam kintu na hone ka
ek aabhas hoon main
iktaare se nikle
ek he taan ki tarah
pavan mein goonjkar
anant kaal mein vileen ho jaata hoon
havaa ki tarango mein
taan bankar behta
ek shunya hoon main...

usi taan ko
paani mein phenkar
sadrish chhalle jo banate hain
unhi vritto sa
vishaadpurn hoon
noukao mein baitha
naubandh ki bhaanti
sahaj paani mein gir
satah pe bas jana chahata hoon
kintu patwar sa
nauka ko he ataka hua
ek shunya hoon main...

jab vritt bankar ke
tat se takraata hoon
aur bhangur swapna se
kanth ke raaste
cheekh ban nikalta hoon
daman ko chhin bhinn kar
vidroh ka roop dharta hoon main
varna kasturi mrig jaisa
supt beej sa leta hua
ek shunya hoon main...

dhara ko lapete
ye beej soya hua hain
ki gagan ke chiraag ki
durgam roshni
ik din toh mujh tak pahochegi
sabz haraa hoke main
laalahit ho uthunga
vasu ki chaadar ko
aankhon se hataakar
avashya pehli saans bharunga
anyatha naal se bandha
ek shunya hoon main...

Nishant
18-12-2011

Tuesday, December 13, 2011

Sweatshirt

Woh jo mera sweatshirt..
Ab bhi tumhare paas pada hain..
Ab bhi fit hota hain kya tumhe?
Ya yunhi charmarai kitabo ki tarah
Bas rakha hain kisi kone mein?
Jinhe ne phenkte banta hain
Na padhate banta hain...
Mere musk perfume ki khushboo
Kya ab bhi panap rahi hai usme?
ya kisi aur ki khushboo rehati hain
tumhare kamre mein ab..
tithar bithar hone lagi thi
pehle he bunaai uski...
ab toh poori tarah..
udhedh gayi hogi silaai..
roye ban gaye honge
chhoti chhoti yaado ke
uska saleti rang bhi
pheenka ho chala hoga..
kisi mod pe miloge toh..
woh sweatshirt le aana
rafu karaake udhadhi silaai ko
dharne ki koshish karoonga..
dry clean kara doonga use
shayad phir crisp ho jaayein
musk perfume chhidak ke
murjhai yaadon ko
refresh karne ki koshish karoonga

Nishant
03-09-2011